Kisi bhi TV ko Apne Phone Se kaise Connect Kare ||

Namaskar dosto aaj main aapko is post mein kisi bhi TV [Smart television hard or smart TV] ko Apne smartphone,Computer,laptop iPad & iPhone se kaise connect Karen iske bare mein Puri detail batane wala hoon to aap is article ko pura Dhyan se a jarur padhna.


Is post me main aapko Chromecast device ka use krke normal t.v.( jo smart t.v..nhi h) Ko Apne mobile se aur laptop se kaise connect karein example se bataunga.

Follow This Styps :-

yadi aapake paas smaart television nahin hai, to bhi  aap apne pasandeeda streaming plateform se badee skreen par kebals ke bina bhee content dekh sakate hain. isake lie google Chromecastt ek budgett -friendly tareeka hai.
is pak - shape (ice hockey ke disk kee tarah) dongal ko aap apne t.v. ke pichhe ke HDMI port me seedhe plug krke smartphone, tablet ya laptop par apps ke maadhyam se sab kuchh control  kar sakate hain. yahaan upalabdh Netflix par original aur sindicated television shows ke vishaal range milte hai. aap apane Chromecast se netflix dekhne ke lie yahaan dee ja rahee handy guide ki madad le sakte hain.


Is Tarah Karen setup:-

Chromecastt device ko TV, Wi-Fi network se connect kare aur apne smartphone ya laptop par  Netflix app ko open Karen ab aapko screen ki upper right ya lower right side mein ek cast icon (chhoti si screen jiska bottom left corner mein Wi-Fi  bar) najar aayega is icon par click Karke uplabdh devices ki list mein se Chromecast select Karen aur Netflix launch ho jayega.

Kitna resolution Chahiye:-

Google Chromecast ke madhyam se aap Netflix ko 1080 p mein stream kar sakte hain lekin 4K mein stream karne ke liye Chromecast ultra ka upyog karne ke alawa Netflix ka premium subscription Lena hoga. jo 4K streaming Nahin chahte wo standard package (full HD 1080 p) ya Bina HD wala sasta basic package le sakta hai

Yadi setup sambhav naa ho:-

Aisi stithi mein yeh sunischit kare ki Chromecast ke naam mein koi special character (Jaise emoji ja apostrophe) nahin hona chahiye, kyunki ye Netflix app ko use pehchaane se rokte Hain. isliye aap apne device par Chromecast app ko launch karne ke baad naam select karke Apne Chromecast ka naam Badal sakte hain. Isse bhi samasya hal nahin Ho to aap Netflix ki troubleshooting steps ko follow kar sakte hain.

Chromecast karne vaale device:-

Netflix app ko free me download kar sakte hain. ye iPhone iPad or iPod touch models (iOS 7 ya later version ko run karne Wale) Jaise devices par uplabdh hai.Android users ke liye Android 4.1 ya later version wala smartphone ya tablet chahiye. Android ke liye app version 2.4 ya higher aur iOS devices mein 4.2 ya higher version run kar raha ho .

Chromecast device Price:-

Yh device aap Ko Amazon par mil jayega jiska price Abhi (30/04/2019) Ko 1200 rupay hai.

Reactions

Post a Comment

0 Comments